🕌Ya Ali Mushkil Kusha Kehne Ka Sabot🕌

Ayat  01: 

قُل لَن يُصيبَنا إِلّا ما كَتَبَ اللَّهُ لَنا هُوَ مَولانا ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَليَتَوَكَّلِ المُؤمِنونَ

“Tum Farmao Hume Na Pahuchega Magar Jo Allah Ne Hamare Liye Likh Diya, Wo Hamara MAULA Hai, Aur Musalmano Ko Allah Hi Par Bharosa Chahye”

(Al Quran Surah 09 Tawbah Ayat : 51) 

Ayat 02 : 

بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرينَ

“Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai” 

(Surah Al Imraan Ayat 150) 

In dono upar bayan karda ayat me padhe to pata chalega LAFZ MAULA Allah Taala ne apne liye farmaya k Mai MAULA hoon MAULA hona ALLAH Taala ki Sifaat Hai To wahabi yehi aayat pesh karte hai aur kehte milenge dekho MAULA ALLAH ki sifaat hai aapne bando ko MAULA maan Liya hai par laa ilmi muttala ki kami hai ab aaye dekhe aage Quran ki aayat bina dakar hazam kar jaate hai ab aage padhe Allah ne aur kisko MAULA banaya hai.

Ayat 03 : 

ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ

“To Beshak ALLAH unka Madadgaar Hai Aur Jibril Aur Nek Imaan Waale Aur Iske Baad Farishte Madad Par Hai”

(Surah No 66 Surah Tahrim Ayat 04)

 Is Aayat e Mubarika me ALLAH Taala ne Musalmano k liye Apne Bando Ko bhi Maula Kaha Hai Nek Imaan waale Zibril Alaihisalam bhi ab bataye kya NEK Imaan waalo me Hazrat Ali nahi hai ? 

Kya Natiza niklega is aayat aur upar bayan karda 02 aayat ka Maane ye niklega k ALLAH Tabarakwatala Ka MAULA hona Uski apni SIFAAT jaati hai aur Bando Ka Maula Hona Allah Taala Ki Ata se hai.
Pata Chala Quran ki wo 03 aayat me MAULA ALLAH Hai aur Bando ko Bhi Maula bana diya Hai ALLAH Taala ne par Ab aaye Dekhe Quran me k ye badmazhab MAULA maante kyu nahi bando ko khud Ayat e Mubarika ne saaf saaf khol diya hai bas padhe aur aina dekh le hum tabseera nahi karnge yaha.

Ayat 04 :

ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم

“Aur Isliye k Musalmano ka Maula Allah Hai Aur Kafiro ka Koi Maula Nahi” 

(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat :11)

Samajh aagaya k MAULA unka nahi hai jo kaafir hai Imaan waalo k liye ALLAH bhi MAULA Hai Uske Salaheen bande Bhi Maula hai aur jinke pass imaan hi nahi hai unka koi Maula Nahi hai. 

Likha to saaf hai bas padh k samajhne ki der hai.
Ab aaye dekhe LAFZ MAULA kaa maane Mufasireen ne kya likha hai 

“Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai Aur Aur Iske Baad Farishte Madad Par Hai ”

(Al Quran Surah 66 At Tehrim Ayat : 04)

Is aayat ki Tafseer Me Imam Mahmood Aalusi Al Baghdadi Rahmatullah Alaih Likhte Hai 

“Hazrat Asma bint E Umais Radi Allaho Anha Farmati Hai k Maine Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ye kahte Huwe Suna SALIHOOL MOMINEEN se Murad Hazrat Ali Hai aur Is Tarah Rivayat Hazrat Abu Zafar se hai Jab Ye Aayat E Karima Nazil Huwi To Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Hazrat Ali Kaa Haath Pakad K Irshaad Farmaya AYE LOGO HAZRAT ALI SALIHOOL MOMINEEN HAI” 

Reference :

(Tafseer E Ruhool Mu’aani Vol :28, Pg : 482 Under Surah Tehrim Ayat 04)
Mufasireen k Nazdik Lafz MAULA ka kya maana Huwa

muttatid tafseer k hawale diya jaa sakte hai jinhone MAULA kaa maane Madadgaar likhe hai yaha hum chand hawale dete hai  

“Is aayat e mubaraka me Warid Lafz MAULA k Maane me WALI aur NAASIR (yaani Madadgaar) Likhe Hai”

References :

(01 : Tafseer E Tabri Vol : 12, Pg : 154)
*Hadees paak kay dalail*
إِنَّ عَلِيًّا مِنِّي وَأَنَا مِنْهُ وَهُوَ وَلِيُّ كُلِّ مُؤْمِنٍ بَعْدِي

Hazrat Imran Bin Hussain رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Huzoor Nabi E Karim ﷺ ne Farmaya Beshak Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hoon Mere Baad Har Momin Ka Wali Hai ”

Refernces : 

(Jamai Tirmizi, Vol :05, Pg : 399, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4077, English No – Vol : 01, Book No : 46, Hadees : 3712) 

Hadees Hasan By Darusalam Idara E Wahabiya 
Yaha Wali Se Kya Murad Hai

Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه Likhte Hai 

“Yaaha Wali Baa Maana Khalifa Nahi Balki Baa Mana Dost Ya Baa Maana Madadgaar Hai.  Jaise Allah Taala Farmata Hai 

إِنَّما وَلِيُّكُمُ اللَّهُ وَرَسولُهُ وَالَّذينَ آمَنُوا

Tumhare Dost Nahi Magar ALLAH aur Uska Rasool Aur Imaan Waale’

(Surah Maida Ayat 55)

Waha bhi WALI Baa Maana Madadgar Hai 

Is Farman Se Do Masle Maloom Huwe Ek Yeh Musibat Me “Yaa Ali” Kahna Jaiz Hai Kyuki Sayyidna Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Har KAYAMAT TAK AANE WAALE HAR MOMIN K MADADGAAR HAI Dusra K AAPKO MAULA ALI KAHNA JAIZA HAI k Aap Har Musalmaan k MAULA AUR WALI HAI”

(Miratul Manajih Vol : 04, pg : 417)
Ab Yaha To Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Madadgaar Hona Saabit Huwa aur aage hum aur authentic dalil pesh karngge Ab Kuch Khwarji Munafik Kahte Hai k Tum Ahle Sunnah Wa Jamaat Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko MUSHKIL KUSHA bolte ho Maula Bolte ho ye Sab Shirk hai Maula MUSHKIL KUSHA bas ALLAH hai.

Ye Wo jaahil khwarji hai jinka dawa hai k humne bahot kuch padha hai magar hote nire jaahil hai ab yaha wo dalail pesh kar raha hu jisme MAULA Kahna QURAN se saabit Hai.
Hazrat syed Shah Muhammad Gaus Gwaliyari Rahimullah Al Mutwaffa 956 Hizri yaani aaj se bhi 500 saal purane buzurg hai us wakt Imam Ahle sunnat Imam AHMAD RAZA Khan Barelvi Rahimullah paida bhi nahi huwe the 

Hazrat Sayyad Gaus Gwaliyari Rahimullah Ek jalilul Qadr Buzurg Sufiya e Kiram me Hai inki Kitab “JAWAHIR E KHAMSA” Jo zikr o Wazaif Me bahot motebar maani jaati hai bade bade Sufiya Auliya Se leke Muhadiseen tak inki kitab me Mauzood Wazaif ki izazat aur sanad dete the unki kitab “JAWAHIR E KHAMSA” is kitab me unhone EK Duwa likhi hai Jisko DUA E SAIFI bhi kahte hai Aur Naad E Ali bhi kya likhte hai.

Dua E Saifi : 

07 Baar Ya 03 Baar Ya 01 Baar Naad e Ali padhe aur wo ye hai 

Tarjuma : 

\“Hazrat ALI KO PUKAR JO Azaib K Mazhar Hain, 

Unhe Tamam Musibat Me Apna Madadgaar Payga, 

Har Ranz O Gam Dur Hojayga,

Aap Karmallahu wajhohal karim Ki WILAYAT SE YAA ALI, YAA ALI, YAA

ALI”

(Jawahir E Khamsa page 282)
Ab aayen Ek Aur Akhri hawala pesh kiye dete hain unka hawala jinko wahabi jamat kay tamam Giroh apna imam Taslim Kartay hain ji haan Hazrat Shah wali ullah muhaddis dehlvi

Hazrat bhi is dua wa wazife kay manne wale thay Aur apni kutub mein likha bhi hai

Hazrat Shah wali ullah muhaddis rahmatullah aleh apni kitab Al intebah fi Salasil auliya  kay page number 138 per zikar kiya hai
*Note* Hum ahle sunnat hain aur akabir ka amal hamare liye mishale Raah Hai jab shah wali ullah nay naade Ali Mushkil Khusha ko Shirk Aur Na jayaz samjhte tu Dua ko apni Kitab mein zikar na kartay
Allah Tala Sahih Samjh Ata Farmaye Rafzi Kahrji Raste say bachaye Apne mehbobon ka Rasta chalaye
Hazrat Gaus mohammad Goaliyar wa Shah wali ullah muhaddis ki kitab ka scan page

👇🏽👇🏽👇🏽👇🏽👇🏽